Nitin Prem Gambhir

Phir Milunga – Nitin Prem Gambhir

Phir Milunga

Phir Milunga

Mein tujhe phir milunga.
Kab, kahaan, yeh sab mujhe nahin pata.
Lekin, mein tujhe phir zaroor milunga.

 

Shayad teri maa ki meethi lohri bankar.
Ya shayad woh unchi patang ki dohri bankar.
Shayad dhoop mein uss ped ki chaanv bankar.
Ya shayad tere adhuray dil ka gehra ghaanv bankar.
Lekin, mein tujhe phir zaroor milunga.

 

Shayad teri khushiyon se jhalakta jaam bankar.
Ya shayad woh sharaarat se rakha hua naam bankar.
Shayad tere manpasand gaane mein saaz bankar.
Ya shayad woh saalon baad suni awaaz bankar.
Lekin, mein tujhe phir zaroor milunga.

 

Shayad teri beti ke Iiye tera bin shartiye moh bankar.
Ya shayad woh thandi raat mein angeethi ki loh bankar.
Shayad tere simran mein tera ehsaas bankar.
Ya shayad garmi mein do boondon ki pyaas bankar.
Lekin, mein tujhe phir zaroor milunga.

 

Kab, kahaan, yeh sab mujhe nahin pata.