Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai.
Dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil mein hai.
Har koi, mazhab ke naam per, daal raha hai bediyaan.
Udta parinda bhi aaj kissi pinjare mein qaid hai.
Manzaron per bicche huin hain laashon ke yeh unchey dher.
In dillon ki band dhadkane aaj hamare seenay mein hai.
Uth rahi hain chitaayon se rakh bankar aatishen.
Inquilab ki sab mashaalein ab humare haathon mein hai.
Dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil mein hai.